Quran vaastav mein wah antim Ishwariya granth hai jise Allaah ne maanav jaati ke liye maarg-darshan ke liye avtarit kiya hai. Quran Ish-waani hai, yah kisi manushya ki rachna ya kisi kavi ka kaavya kadapi nahi hai. Quran ke Ish-waani hone ke kaaran usmein anupam swar-saundarya hi nahi bhav-saundarya ka bhi samaavesh ho gaya hai. Gyaan aur Satya ki jo gehraaiyan Quran mein paayee jaati hain ve swabhaavik hi hain.
Reviews
There are no reviews yet.